India Post GDS Recruitment 2026: 40,000+ Posts — 10th Pass, No Exam, Direct Merit
Ek government job hai jisme koi written exam nahi hota. Seriously. Sirf 10th marks ka merit hota hai. Jitne zyada marks — utna zyada chance. Aur vacancies itni…
Ek government job hai jisme koi written exam nahi hota. Seriously. Sirf 10th marks ka merit hota hai. Jitne zyada marks — utna zyada chance. Aur vacancies itni hain ki honestly yeh India ki sabse underrated government job hai. India Post GDS — Gramin Dak Sevak. 40,000 se zyada posts. Rural India mein post office delivery aur banking services. Aur selection process itna simple hai ki zyada log believe hi nahi karte jab pehli baar sunta hain. GDS Kya Hota Hai? Gramin Dak Sevak — yaani village level pe kaam karne wala postal worker. Teen types hoti hain posts: BPM — Branch Postmaster. Gaon ke Branch Post Office ko manage karna. Counter pe kaam, savings accounts handle karna, mail distribution. ABPM — Assistant Branch Postmaster. BPM ki help karna, mail delivery, rural areas mein kaam. Dak Sevak — General purpose postal work. Mail sorting, delivery, department ke alag alag kaam. Yeh permanent government job nahi hai exactly — yeh "Departmental" post hai with TRCA yaani Time Related Continuity Allowance. Lekin practically iska matlab hai stable monthly income plus government benefits. Salary — Kitna Milta Hai? BPM ke liye TRCA ₹12,000 to ₹29,380 per month hoti hai (category aur state ke hisaab se vary karti hai). ABPM aur Dak Sevak ke liye ₹10,000 to ₹24,470. Yeh amount relatively kam lag sakti hai — lekin yeh ek part-time nature ki job hai. Ek fixed kaam hota hai din mein — 4 to 5 ghante. Baaki time tum kuch aur kar sakte ho ya aage ki taiyari kar sakte ho. Kai log GDS join karte hain stability ke liye — aur saath mein SSC ya other competitive exam ki taiyari karte rehte hain. Sarkari address milta hai, kuch income milta hai, aur preparation continue rehti hai. Upar se — GDS se promotions hote hain. Regular postal department mein absorb ho sakte ho Internal exam se. Postman, Mail Guard, MTS — yeh promotions GDS se possible hain. Eligibility — 10th Ke Baad Direct Apply Age: 18 to 40 saal. SC/ST ko 5 saal, OBC ko 3 saal relaxation. Education: 10th pass with passing marks. Koi minimum percentage required nahi hoti eligibility ke liye — lekin merit mein 10th marks hi count hote hain. Local Language: Jo state mein apply karo wahan ki local language aani chahiye — padhna aur likhna dono. Computer: Basic computer knowledge aur cycling ability — BPM ke liye specifically yeh requirement hai. Selection Process — No Exam, Only Merit Yeh woh part hai jo logon ko surprise karta hai. Koi written exam nahi hota. Koi physical test nahi hota. Koi interview nahi hota. Selection sirf 10th ke marks pe hota hai — merit list banti hai state wise, division wise, category wise. Jitna high percentage 10th mein — utna front position merit mein. Matlab agar kisi ki 10th mein 85%+ hai aur woh abhi 10th ke baad baitha hai ya kuch aur explore kar raha hai — GDS genuinely strong option hai. Documents verify hote hain. Medical fitness check hoti hai basic level pe. Uske baad joining. Kitni Vacancies Hain? 2024 mein India Post ne 44,228 GDS posts nikali thi. 2026 mein bhi similar n…